Kadakti bijliyo mein
Dhoondta raha woh ehsaas
Lekin tum nahi waha koi aur thi
Lekin tum nahi waha koi aur thi
Garajte badalo mein
Bujhata raha woh pyaas
Lekin tum nahi waha koi aur thi
Lekin tum nahi waha koi aur thi
Ki kab tak main kudrat ki parcchaiyo mein
Ujaale ko bulata rahaa
Lekin tum nahi waha koi aur thi
Ki kab tak main andhero mein
Diye ko jalata raha
Lekin tum nahi waha koi aur thi
Akelepan se dosti kar li
Akelepan se dosti kar li
Lekin saath nibhata raha
Teri chaahat ke firaq mein
Bhadakti is raat mein
Tumhe chaahta raha
Lekin tum nahi waha koi aur thi
Boondo ne dubaane ki koshish ki
Lehro ne bahane ki
Kinaare bulaate rahe
Par tum nahi waha koi aur thi
Arre zaalim, tere intezar mein
Apna sab kuch tyaag diya
Zindagi bhar tere saye se pyaar kiya
Par tum thi, toh kaha thi?